Posts

Showing posts from November, 2024

Kaffan Ke Uss Paar

Image
  Ae kaffan, aj achanak Teri yaad aaya hai, Shiddat se banayi hui mehel  chodh tujh mein samaa jaana hai.  Kal kisi ke beta toh kisi ke baap hua karte they  Par aaj jas dan in rashton ki pahiliyon ko suljhane ki khwahish khatm ho raha hai. Sari shamae bujh to gayi hai yaaron, ab khwahishon ko aaraam ki zarurat aan padi. Maut se dar ab na lagti hai, andhere mein gum hone bari aayi hai Jinse zamana hamesha darte hain, aaj achanak unpe mohobbat aa raha hai. Ae shamae tumhare bujhne ka waqt aa gaya hai. Ae kaffan aj achanak teri yaad aaya hai. #ponderingsoftheheart #grimpoetry #shayareishq #poetrylovers #poetryofinstagram

Rahein

Image
   Kuch log Ishq ki mohtaj nahin hote janaab, dhoke ki dank jo khayi hai, Kuch log apnon se lagav nahin rakhte janaab, apnon ne chot gehri pohchayi hai. Rishton ki baat humse na karein, na mohabbat ki kisse sunaye, Zindagi ne aisi chot diee hai, bharosa se bharosa uth gayi hai. Hume bass karna nahin aati hai, aage barhna hi fitarat ho si gayi hai, Rastein bade haseen hai par raatein badi kathin hai. Hume humsafar ki saath nahin chahiye janaab, akela chalne ki bimari hai, Upar Suraj aur Chanda, aur niche rahein bohot si padi hai.  Humse mohabbat na karna, maine mohabbat se alvida keh chuke hai Gulabon ki kantein hi gulab ko chot pohchati hai, Hume akela age badna hai yahi humari bimari hai. Ae kaffan teri or har chaurahi bad rahi hai, Bass uss akhri bar nili asman ke niche tera hona hi meri qwhahish hai.  Maine Ishq se ishq nahin kiya, bass ae kaffan intezaar tumhari hai. Kab rahein qhatm hogi, bass yahi Khuda se meri minnaten hai, Jo saath aapne jeete jee chori hai, ...

Naatein

Image
  Ekbar Jannat ne Dharti se pucha,"Ae Dharti, tere saath mera naata kya hai?" Dharti muskura kar kehti, "maut ki naata hai" Jannat dobara puchi Dharti se, "yeh kaisa naata hai?" Dharti dobara muskura ke kahi, "tu maut ke baad hi naseeb hoti hai, Aur mujhme log jeene ki tamanna nahin rakhte hai" Humare rishton ke saath bhi kuch aisa hi naatein hai janaab. Dank sabse zyada apne hi marte hai fir bhi inse naatein nahin tut-te hai.