Rahein

  



Kuch log Ishq ki mohtaj nahin hote janaab, dhoke ki dank jo khayi hai,

Kuch log apnon se lagav nahin rakhte janaab, apnon ne chot gehri pohchayi hai.

Rishton ki baat humse na karein, na mohabbat ki kisse sunaye,

Zindagi ne aisi chot diee hai, bharosa se bharosa uth gayi hai.

Hume bass karna nahin aati hai, aage barhna hi fitarat ho si gayi hai,

Rastein bade haseen hai par raatein badi kathin hai.

Hume humsafar ki saath nahin chahiye janaab, akela chalne ki bimari hai,

Upar Suraj aur Chanda, aur niche rahein bohot si padi hai. 

Humse mohabbat na karna, maine mohabbat se alvida keh chuke hai

Gulabon ki kantein hi gulab ko chot pohchati hai,

Hume akela age badna hai yahi humari bimari hai. Ae kaffan teri or har chaurahi bad rahi hai,

Bass uss akhri bar nili asman ke niche tera hona hi meri qwhahish hai. 

Maine Ishq se ishq nahin kiya, bass ae kaffan intezaar tumhari hai.

Kab rahein qhatm hogi, bass yahi Khuda se meri minnaten hai,

Jo saath aapne jeete jee chori hai, maut mein ya Khuda ek ruh tujhse gale lagane ayi hai.


#grimpoetry #sheroshayari #urduislove #petsofinstagram

Comments

Popular posts from this blog

The Nilgiri Diaries- The Call of The Blue Mountains

The Nilgiri Diaries- The Call of The Blue Mountains

The Nilgiri Diaries-Call of The Blue Mountains